We use cookies to ensure that we give you the best experience on our website. If you continue to use this site we will assume that you are happy with it.
Nagar mein dhindora pitwa do dada ... Bachhe, bade, budhe, sab se kehna ki maine bulaya hai ... Talwar, hathauda, kulhadi, aari, teer, bhala, kudaal jo mile usse hathiyaar bana kar le aao ... Kehna iss rajya ko abhishaap se mukt karne ke liye, Rajmata Shivagami Devi ka putra, Amrendra Baahubali ka vanshaj, Mahendra Baahubali ab laut aaya hai
Iss sheetal chandani raat mein chakor panchhiyon ki ye jodi dekho ... Dekho iss punam ke chand ko ... Kaise iss chand ki kirane phoolon ke komal badan se boond-boond karke fisal rahi hain ... Aur kaise ye dono in kirano ka raspaan kar ke ek dusre mein doobe huye hain ... Inn dono ko dekh kar tumhe kya lagta hai mama
Amarendra Baahubali, yaani main, Mahishmati ki asankhya praja aur unke dhann, maan aur praan ka rakshak, Aur maharaj Bhallaldeva ki sarvasena ka adhyaksh, nirantar apne kartavya ka nirvahan karte huye mujhe agar praan bhi tyaagna pade to sankoch nahi karunga ... Rajmata Sivagami Devi ko Shakshi maan kar main yeh shapat leta hoon
Yaha jo bhi aaya hai mere liye bhet laya hai aap ne kuchh nahi diya, jo mangu wo denge aap ... Aapko Mahishmati ke shinghaasan par biraajna hai ... Yahi meri kaamna hai ... Yeh sirf meri nahi, samast praja ki kaamna hai ... Aur kehte hain praja ki kaamna puri karna ek kshatriya dharm hai ... Apna dharm nibhaaiye
Maine tumhe mara hua samjha aur tum laut aaye, main bata nahi sakta mujhe kitni khushi ho rahi hai ... is baat ka dukh tha ki main usse apne hatho se maar nahi paya tum wahi roop lekar wapis aaye ho ... meri yeh adhoori ichha ab tum poori kar rahe ho ... or mere hatho se tumhari chhatee cheerne ka mauka diya tumne ... main kaise tumhara dhanyawad karoon ... Mahendra Bahubali
Rajmata Shivgami Devi ko sakshi maan kar mera yeh pahla aadesh hai, iss rajya mein niti, nyaay aur lagan ke saath kaam karne wala har naagrik apna sar uthakar jiyega ... Aise vyakti ke saath agar koi anyaay kare, toh sarr kaat kar paatal mein ja girega ... Yeh mera vachan hai ... Mera vachan hi hai shaasan
Aadiwaasi bhi jinhe ghinouna samajhte hain un taur-tareekon ko aap dandvidhaan kehte hain ... Toh aise dandvidhaan ko aag laga dijiye, apne nyaay shaastra ko Ganga mein baha dijiye, apne shaasan ko shuulhi par chadhaa dijiye ... Jis rajya ki mati bhrasht hai uska Maahishmati jaisa bada naam ... chhiii
Mahishmati ... Jab se hosh sambhala, sirf tumhare liye tadapta raha ... Harr sapne mein tumhe apne sar par sajata hua dekha ... Itne varshon ke baad, itne shadyantro ke baad, tum mere haath aayi ... ab mujhse durr kyon bhaag rahi ho? Tumhe apne sir-aankho pe bithaya aur tumne mujhe thukra kar Baahubali ko kyon apna liya