We use cookies to ensure that we give you the best experience on our website. If you continue to use this site we will assume that you are happy with it.
Bechain ratein bhaari bhaari dil,
jagi aankhein, har ek mein pagalpan hai.
Ye nanhe sapne bojh se lade dimago mein
panapne ki himmat kar hi lete hai.
Dhup ka tukda, andhere soye kamron mein, ummid jagakar laut jata hai,
silan ki gandh yaad dilati hai yaha tumhara koi nahi. sirf akelapan hai.
sapne, dhup, gandh, har ek mein pagalpan hai.
Ye pagalpan hi to hai jo har ek ko har ek se jodta hai.
Hum thake nahi, hum ruke nahi, hum bejaan nahi hue abhi tak,
kyonki har ek mein pagalpan hai.